Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2015
AA GAYA EK AUR DEEWANA LIKH GAYA NAYA FASANA YAAD MEIN APNE WATAN KI LUT GAYA THA PARWANA JAB CHADA PYAAR KA  PARWAAN LE AAYA YE KHUD KE SAATH EK BHAYANKAR TOOFAN. TAB DIKHA VEERON KA JAUHAR HO GAYA KHUD KURBAAN PAR NA JAANE DI THI ISNE APNE BHARAT KI AAN. YAAD KARTE HUM RAHENGE TERA YE  VIKAT BALIDAAN. TUME TO BADHA HI DI HAI DESHPREMIYON KI SHAAN. LONG LIVE YOUR GLORY SANDEEP  UNNIKRISHNAN. -R.D
Jab lal hui dharti bharat ki, tab lal jaga bharat ka Dekh Jallianwala Bagh,khaul utha tha lahoo uska, Par soch,vichaar mein samay bitaya,pala usna tha rosh apna Poora karne nikal pada jo shayad uska tha sapna Lahoon bahane walon ko lohe ke chane chabwana tha. Jab phoota  tha to hila diya singhasan par baithe luteron ko Khooni bhi khoon se ghabra gaye jab dekha uske   khelon ko. Woh kya mahaan ye veer tha jo kood pada tha khaai mein London mein woh akela tha lad  raha tha jo ladai mein. Tu amar raha tu amar rahe, tu sada  rahe kirtimaan Teri veerta rahegi sada itihaas ke panno mein vidyaman.