Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2015

Vishwaguru banana hai BHARAT ko

Vishwaguru banana  hai  BHARAT ko Vismay hota h dekh kar bharat ka woh swarnim itihaas, jisne shushobhit kar diya bharat ke mastak ka taj. Hindu,muslim,sikh,isaai jis bhoomi par karte the raj, aaj unhi ke falswaroop bharat h kai dharmon ka samaj. Par vishv mein ubhar rha h bharat pehnkar ekta aur sauhard ka taj. Lekin yadi toot gaya bharat to nhi bachegi iski laaj. Aao milkar bharat mein ekta ki bhawana jagayein, dharma bhed ki niti par bhaiyon ki bali na chadayein. Ye bharat rashtra hamara h chalo ise swarg banaye, apni janmabhoomi ka jag mein naam badhaye. Ekjut ho aao pyaron bharat mein prem ka geet gayein, jan hit mein kaam aa sake aisa apna imaan banayein.